Uloom Ul Quran PDF Book Download


Uloom Ul Quran PDF Book Download

     

      MUFTI MUHAMMAD TAQI USMANI sahab ki tasneef Ulomm Ul Quran bahot hi mash'hur kitab he, quran ki tadween ko samjhne ke liye is kitab ka mutala karna bahot hi faydemand he, dor e abu bakr aor dor usman me huvi tadween ke bare me mukammal tafseel ke sath is kitab me tazkira kiya gaya he.


    

        Quran shareef par hone wale mukhtalif ishkalat, gero ki taraf se huve alag alag sawalo ka mukammal aor vazeh tor par tasalli bakhsh jawat diye gaye hai. is kitab ko padhne ke baad quran shareef par uthaye gaye har batil ishkal aor sawal ka jawab aap ko mil jayega.


    Aam aor khas har kisi ke liye is kitab ka padhna be had faydemand he, Tafseer ke shoqeen hazrat ke liye ye 1 bahot hi nayab tohfa he, Qurani khidmat se taalluq rakhne wale hazrat khususi tor par iska mulahaza w mutalaa farmaye.


  


    Is kitab ko likhne ka pas manzar ye he ke kitab ke musannif Hazrat mufti TAQI USMANI sahab ke walid majid Mufti MUHAMMAD SHAFI sahab rahmatullahi alayhi ne apne farzand MUFTI TAQI sahab se MAARIF UL QURAN  ka 1 mukhtasar muqaddama likhne ka hukm farmaya, lekin mukhtalif mozuat ko shamil karna chunke zaruri tha, is liye Tasneef ne mukaddama ke bajay 1 mufassal kitab ki shakal ikhtiyar karli, aor uska naam ULOOM UL QURAN rakha gaya, ye hi wo kitab he jiska aap ke samne tazkirah kiya ja raha he.


   Aap se darkhast he ke aap zarur isko padhe, sath hi apne dosto ko bhi pohchaye, aor muft me sawab e jariya ke haqdar bane.


 

Ho sake to is Haqeer ko bhi apni duao me shamil farmalen.