Urdu Tarjuma by Fateh Muhammad Jalandhari
Hazrat Molana Fateh Muhammad Jalandhari Asia ke mash'hur w maroof mufassir e quran hai, pichhle 30-40 years se unka quran shareef ka tarjuma mukhtalif zariyo se log sunte aa rahe hai, bahot hi maqbool shakhsiyat hai, sath me unke tarjuma ko bhi allah ne khususi maqbooliyat se nawaza hai.
Aasan andaz me kiya gaya tarjuma duniya ke gine chune nayab tarjumo me se 1 hai, umumi fayde ko malhuz rakhte huve iski zaban ko bikul aasan rakha gaya hai, jis se aam w khas har koi is se fayda hasil kar sake, neez iski ifadiyyat aam ho.
Asia ke logo ko khas kar hindustan pakistan ke logo ko URDU zaban se khususi lagav hai, apni madri zaban ke baad sab se zyada isi zaban ko istemal karte hai aor samajhte hai, to zaruri hai ke 1 aasan quran shareef ka tarjuma is zaban me ho, jisse ke har kas w nakas ko padhne aor samajhne me aasani ho, isi ko madd e nazar rakhte huve aap hazrat ke sath is tarjume ko share kiya jaraha hai.
Aap se ummed hai ke aap bhi isse fayda hasil farmayenge aor dusre ahbab tak bhi isko pohchayenge, jo aap ke liye Aakhirat me sawab e jariya ka sabab banega insha allah.