surah waqiah to become rich | colour coded PDF | surah for wealth


Surah-e-waqiah clour PDF

                        Surah waqiah ko " surah-e-Gani " bhi kaha jata hai, yani maldari ki surat, is surat ko parhne se ghar me kabhi faqa ( bhukhmari ) nahi aati, is ko parhne se aap daily zaruriyat se be fikr ho jayenge insha allah.

                        Is surat ko kab parhna afzal hai? is me ulama ne likha hai ke behtar hai ke magrib ki namaz ke baad parha jaye, lekin agar koi isha ki namaz ke baad parhe to bhi koi haraj nahi hai, namaz-e-Isha ke baad parhne se bhi wohi fazail hasil ho jayenge insha allahul aziz..

                       Magrib ke baad parhe ya isha ke baad, lekin apne ghar par parhne ka khususi ihtimam kare, ghar ki masturat ko khususi takeed kare ke wo iski zarur tilawat kare, aor mard hazrat bhi uski tilawat ka ihtimam farmaye, aor ghar me hi parhe, masjid ki bajaye ghar me parhne se zyada fayda hasil hoga.

                      Mukammal pabandi se parhne par faqr faqa se to chhutkara milta hi hai, sath me rozi se muta'alliq dusri taklifo se bhi allah ke fazl se chhutkara milta hai, maal me bhi kaafi barkat naseeb hoti hai.

                      Niche di gayi link se aap surah-e-waqiah ki clour PDF download kar sakte hai, jis ko apne mobile me download kar ke rozana magrib baad parhne ka ihtimam farmaye, ji se insha allah aapki rozi me barkat hogi. allah amal ki tofeeq ata farmaye... aameen.



Post a Comment

0 Comments