Quran shareef ka best urdu translation
Duniya ke har musalman ki khawahish hai ke wo quran shareef ki tilawat to kare hi, sath hi us ke matlab ko bhi samjhe, uske ma'ani ki fahm hasil kare. lekin is dili talab ko pura karne ke liye normally do chize rukawat bani huvi hai, pehla to ye ke kis ke translation ko parha jaye, dusra ye ke aesi kisi zaban me translation ho jo aasani se samajh me aa jaye.
In dono problems ka solution aap ko is article me insha allah mil jayega, ye traslation aesi zaban me hai, jis ko shayad hi koi musalman na janta ho, wo hi apni urdu zaban. and translation bhi aesi shakhsiyat ka hai ke un par kon bhala shak kar sakta hai, sunni ho ya kisi aor firqa ka, ger muslim tak, hazrat par aankh band kar ke bharosa kar lete hai, meri murad hazrat aqdas mufti taqi usmani sahab hai.
Mufti taqi usmani sahab ka quran shareef ka tarjuma bahut hi aasan zaban me hai, jis ko har koi samajh sakta hai, sath hi aese alfaz ka use kiya gaya hai, jo tamam ma'ani ko shamil ho jaye, goya aek aasan and ja'me translation hai.
0 Comments